Saturday, March 3, 2012

badal rahi hai jindagi

Jindagi ek naav hai
jo us nadi mien bahti hai jiski dhar ka koi pata nahi
 kis sahar se hokar gujregi ye nadi iska koi pata nahi
Patwar ko kitne thapede jhelne padenge iska kisi ko pata nahi
 nav bich mien ho to kinara kaphi door lagta hai
naav agar kinare ke pass ho to kinara pass lagta hai
par is jindagi ke naav ne aajtak kinara nahi dekha
 kabhi naav patwar kamjor hui to kabhi apne aap hi
lahron ke thapede kha khakhakar ek adbhut si shakti ayi
iske andar.jab ye karahata hai to iski awaj dard ek aisi chap
chod jati hai jo man mastik mien ek alag kona ekhtiyaar kar leti hai.